Thursday, December 1, 2011

Yeh Din

Kuch toh baat hai iss din mein,
Ki aaj iss dil ne phir himmat ki hai.
Un andhere kinaaro se hatt kar,
Phir Mohabbat karne ki zarurat ki hai.

Kuch toh baat hai iss din mein,
Ki iss dil ne darna nahin chah.
Wapas gaya jung ke maidaan mein,
Phir se na girne ki umeed ki hai.

Kuch toh baat hai iss din mein,
Ki aaj zakhmo ko bharne nahin hai.
Taaze zakhmo mein tum kya,
Hum khud hi teer maar denge.






No comments: